Search Apni SMS & Shayari

For One & Only MAMTA

Is kadar hum yaar ko manane nikle,
uski chahat ke hum deewane nikle,
jab bhi use dil ka haal batana chaha,
to uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle...
________________________________________
Aansuo ke girne ki aahat nahi hoti,
Dil ke tootne ki awaaz nahi hoti,
Agar hota khuda ko ehsaas dard ka,
to use dard dene ki Aadat nahi hoti..
________________________________________
Hamara har lamha chura liya aapne,
aankhon ko ik chand dikha diya aapne.
Hamein zindagi to di kisi aur ne,
par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.
________________________________________
Ye pyari nigahein yaad rahengi,
milkar na milne ki ada yaad rahegi,
mumkin nahi ki main tumhe bhula dun,
aur umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi.
________________________________________
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
to tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.
________________________________________
Mohobbat ka imtihan aasan nahi;
pyar sirf pane ka naam nahi.
Muddatein beet jati hain kisi ke intezaar mein,
ye sirf pal-do-pal ka kaam nahi.
________________________________________
Tanhai bhari zindagi ka safar mila;
na saathi, na humsafar mila.
Hum diya jalta chhod gaye the unke liye;
jab vapis lote to jalta hua ghar mila.
________________________________________
Na jaane tum pe itna yakin kyon hai?
Tera khayal bhi itna haseen kyon hai?
Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai;
to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai?
________________________________________
Sabhi ko sabh kuch nahi milta,
nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
yeh dil walon ki dunia hai dost,
kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.
________________________________________
Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..
________________________________________
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi,
isi bahane humein choo kar chala gaya koi,
tanhayi aur andhere mein khush they hum,
lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
________________________________________
Dil to unke seene mein bhi machalta hoga..
husn bhi so-so rang badalta hoga..
Uthti hongi jab nagahein unki..
Khud "khuda" bhi gir-gir ke sambhalta hoga..
________________________________________
Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda,
zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda,
vaada kiya sitaron ne saath dene ka,
subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
________________________________________
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
________________________________________
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena. ________________________________________
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
________________________________________
Bheeg jaati hain palkein tanhayi mein,
darte hain koi jaan na le.
Pasand karte hain tez barsaat mein chalna,
kahi rote hue ko koi pehchaan na le.
________________________________________
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.
________________________________________
Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.
________________________________________
Bahut dur magar bahut paas rehte ho,
Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,
Mujhe bas itna bata do kya tum bhi mere bina udaas rehte ho? ________________________________________
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha..... ________________________________________
Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.
________________________________________
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
________________________________________
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
________________________________________
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hai
Bada Mushkil hota hai tab Jawab denA
Jab koi KhamosH rehkar Sawaal kar leta hai
________________________________________
Aap Rootha na karO yun humse
Mere dil ke Dhadkan bhad jaati hai
Dil tho aap ke Naam kar hi chuke hain
Jaa bus baaki hai woh bhi nikal jaati hai
________________________________________
safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalO
sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalO
yehi hai zindagi kuch Khwaab chand ummideiN
inhee khilonon se tum bhi bahel sako to chalO ________________________________________
Aap gairon ki baat karte ho
Humne apnoko Azmaya hai
Log katon se bachke chalte haiN
Humne Phoolon se zakham khaye haiN..
________________________________________
Kal khud hi apni mehfil se nikale the,
aaj hue se deewaane dhundte hai.
Musafir be-khabar hai teri aankhon se,
tere shahar mei maikhaane dhundte hai
________________________________________
insano k kandhe pe insan ja raha hai
kafan me lipta arman ja raha hai
jisko mili befawi pyar me
wafa ki talash me wo shamshan ja raha hai
________________________________________
Kya kami thi meri mohabbat me,
jo nasib huye vo kisi aur ko,
bas sath he to manga tha hamne,
vo bhi na mila mujh gareeb ko
________________________________________
Yun door rehkar dooriyon ko badhaaya nahin karte
Apne deewaano ko sataaya nahinkarte
Har waqt bas jisse tumhaara khayaal ho
Usse apni aawaaz ke liye tadpaaya nahin karte
________________________________________
Hamare hi saamne mehfill me baithe hai wo,
hatho me hamara dil chupaye baithe hai wo,
jab humne pucha kya hai in hatho me,
to bahana bana diya mehendi lagaye baithe hai wo.
________________________________________
Apne hatho ki lakeero ko,aksar bante bigarte dekha hai,
vishvas hai aaj bhi ki,tere naam ki inme rekha hai,
ho sakta hai ki tumhe yakeen na ho in baato par,
par aage kya hoga,na maine aur na tumne dekha hai...
________________________________________
Hum umidon ki dunia basate rahe,
Vo bhi har kadam par aazmate rahe.
Jab mahobbat k imtihaan mein marna pada,
Humne jaan dedi aur vo kasmein khaate rahe.

Search The Web